maiñ ba-zāhir zarā sā TuuTā huuñ
apne andar ziyāda TuuTā huuñ
hādsoñ meñ tamām sālim the
shahr-bhar meñ akelā TuuTā huuñ
raakh merī fazā bhī pā na sakī
is qadar jā ke ūñchā TuuTā huuñ
chhat ke nīche vajūd aahoñ kā
chhat pe jā kar sarāpā TuuTā huuñ
muntashir thā vajūd hī saarā
dekhne meñ adhūrā TuuTā huuñ
manziloñ kī kise ḳhabar hai 'sabā'
ḳhauf se rasta rasta TuuTā huuñ
main ba-zahir zara sa TuTa hun
apne andar ziyaada TuTa hun
hadson mein tamam salim the
shahr-bhar mein akela TuTa hun
rakh meri faza bhi pa na saki
is qadar ja ke uncha TuTa hun
chhat ke niche wajud aahon ka
chhat pe ja kar sarapa TuTa hun
muntashir tha wajud hi sara
dekhne mein adhura TuTa hun
manzilon ki kise KHabar hai 'saba'
KHauf se rasta rasta TuTa hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.