main bahen khol ke pura shajar nahin banta
maiñ bāheñ khol ke puurā shajar nahīñ bantā
sahārā bantā huuñ par is qadar nahīñ bantā
davām paatī haiñ sīnoñ se lag ke tasvīreñ
ba-zāt-e-ḳhud koī rasta safar nahīñ bantā
tirā kamāl ki mujh ko gale lagā liyā hai
vagarna ḳhasta-dīvāroñ se ghar nahīñ bantā
dayār-e-ġhair meñ ajnās bāñTne vaalo
jaḌoñ se Tuut ke paudā shajar nahīñ bantā
nazar ke faiz kā inkār to nahīñ lekin
guhar jo hotā nahīñ hai guhar nahīñ bantā
har ek chiiz kā ne'mul-badal milā 'hāris'
magar vo 'aks jo ā.īne par nahīñ bantā
main bahen khol ke pura shajar nahin banta
sahaara banta hun par is qadar nahin banta
dawam pati hain sinon se lag ke taswiren
ba-zat-e-KHud koi rasta safar nahin banta
tera kamal ki mujh ko gale laga liya hai
wagarna KHasta-diwaron se ghar nahin banta
dayar-e-ghair mein ajnas banTne walo
jaDon se Tut ke pauda shajar nahin banta
nazar ke faiz ka inkar to nahin lekin
guhar jo hota nahin hai guhar nahin banta
har ek chiz ka ne'mul-badal mila 'haaris'
magar wo 'aks jo aaine par nahin banta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.