main bach saka na bachaya gaya hawa se mujhe
maiñ bach sakā na bachāyā gayā havā se mujhe
gile haiñ mujh se ḳhudā ko to haiñ ḳhudā se mujhe
hai kis kā dast-e-ḳhajil jo sarāpā khīñchtā hai
ye kaun dekhtā hai darz-e-nīm-vā se mujhe
vo hijr-zād hai aisā ki maiñ milūñ na milūñ
tarāsh letā hai apnī kisī qabā se mujhe
maiñ aap apnā hī ne’mul-badal tarāshtā huuñ
nikāle kaun ta'ajjub kī ibtilā se mujhe
use pata hai ki maiñ us ko dekhtā huuñ 'habīb'
vo shaḳhs dekhe na dekhe mirī balā se mujhe
main bach saka na bachaya gaya hawa se mujhe
gile hain mujh se KHuda ko to hain KHuda se mujhe
hai kis ka dast-e-KHajil jo sarapa khinchta hai
ye kaun dekhta hai darz-e-nim-wa se mujhe
wo hijr-zad hai aisa ki main milun na milun
tarash leta hai apni kisi qaba se mujhe
main aap apna hi ne’mul-badal tarashta hun
nikale kaun ta'ajjub ki ibtila se mujhe
use pata hai ki main us ko dekhta hun 'habib'
wo shaKHs dekhe na dekhe meri bala se mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.