main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat
maiñ baḌhātā jā rahā thā is liye daftar kī baat
biich chaurāhe meñ laa.ī jā rahī thī ghar kī baat
ab to apnī guftugū hotī hai us se is tarah
jaise ik mātaht se hotī hai ik afsar kī baat
ālam-e-maujūd se bāhar nikal ke sochiye
gumbad-e-be-dar kī bāteñ aur pas-e-manzar kī baat
shā'irī ne baat kahne kī suhūlat dī mujhe
varna maiñ bāhar na lā paatā kabhī andar kī baat
shaah aur begam kī bāteñ ho chukī hoñ ḳhatm to
kījiye hālāt ke maare hue joker kī baat
ijtimā-e-ḳhās meñ us kā mujhe kahnā 'azīz'
maiñ samajhtā huuñ ye hai mere liye honour kī baat
main baDhata ja raha tha is liye daftar ki baat
bich chaurahe mein lai ja rahi thi ghar ki baat
ab to apni guftugu hoti hai us se is tarah
jaise ek mataht se hoti hai ek afsar ki baat
aalam-e-maujud se bahar nikal ke sochiye
gumbad-e-be-dar ki baaten aur pas-e-manzar ki baat
sha'iri ne baat kahne ki suhulat di mujhe
warna main bahar na la pata kabhi andar ki baat
shah aur begam ki baaten ho chuki hon KHatm to
kijiye haalat ke mare hue joker ki baat
ijtima-e-KHas mein us ka mujhe kahna 'aziz'
main samajhta hun ye hai mere liye honour ki baat
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.