main bahaar-e-dil-e-shair hun to ab sare gulab
maiñ bahār-e-dil-e-shā.ir huuñ to ab saare gulāb
khil uTheñge mirī bū se mire jaane ke baad
mire hone kī nahīñ qadr kabhī tū ne kī
tū mirā naam nahīñ le mire jaane ke baad
vo jo hañste the mire haal pe kuchh din pahle
vo bhī be-sāḳhta ro.e mire jaane ke ba.ad
jo kabhī bhī mire pahlū meñ nahīñ baiThe the
vo mire sog meñ baiThe mire jaane ke baad
muntazir jis kī rahī ek zamāna 'māham'
vo bhī jab aa.e to aa.e mire jaane ke baad
main bahaar-e-dil-e-shair hun to ab sare gulab
khil uThenge meri bu se mere jaane ke baad
mere hone ki nahin qadr kabhi tu ne ki
tu mera nam nahin le mere jaane ke baad
wo jo hanste the mere haal pe kuchh din pahle
wo bhi be-saKHta roe mere jaane ke baad
jo kabhi bhi mere pahlu mein nahin baiThe the
wo mere sog mein baiThe mere jaane ke baad
muntazir jis ki rahi ek zamana 'maham'
wo bhi jab aae to aae mere jaane ke baad
- Book : Word File Mail By Salim Saleem
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.