main bahut dushwar hun aasan kar dije mujhe
maiñ bahut dushvār huuñ āsān kar diije mujhe
fat.h kar liije mujhe hairān kar diije mujhe
maiñ bahut bikhrā paḌā huuñ mujh ko yakjā kījiye
bas ḳhudā ban kar nayā insān kar diije mujhe
aap agar apnā badan mujh ko 'ināyat kījiye
ḳhaak huuñ maiñ ḳhaak hī meñ saan kar diije mujhe
bas yahī marz-e-farāmoshī mujhe bhī chāhiye
dauḌ kar chhū lījiye nisyān kar diije mujhe
phailte rahiye mire andar udāsī kī tarah
aur ik shab sūrat-e-hizyān kar diije mujhe
aap gar haiñ saaf to is kī zarūrat hī nahīñ
aap maile haiñ to ḳhud ko chhān kar diije mujhe
rozgār-e-‘ishq bhī ik kaam hai lekin huzūr
aap apne ghar kā ik darbān kar diije mujhe
maiñ baḌā daanā banā phirtā huuñ mere zo'm ko
toḌ kar rakh dījiye nādān kar diije mujhe
main bahut dushwar hun aasan kar dije mujhe
fath kar lije mujhe hairan kar dije mujhe
main bahut bikhra paDa hun mujh ko yakja kijiye
bas KHuda ban kar naya insan kar dije mujhe
aap agar apna badan mujh ko 'inayat kijiye
KHak hun main KHak hi mein san kar dije mujhe
bas yahi marz-e-faramoshi mujhe bhi chahiye
dauD kar chhu lijiye nisyan kar dije mujhe
phailte rahiye mere andar udasi ki tarah
aur ek shab surat-e-hizyan kar dije mujhe
aap gar hain saf to is ki zarurat hi nahin
aap maile hain to KHud ko chhan kar dije mujhe
rozgar-e-‘ishq bhi ek kaam hai lekin huzur
aap apne ghar ka ek darban kar dije mujhe
main baDa dana bana phirta hun mere zo'm ko
toD kar rakh dijiye nadan kar dije mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.