main barash chhoD chuka aaKHiri taswir ke baad
maiñ barash chhoḌ chukā āḳhirī tasvīr ke ba.ad
mujh se kuchh ban nahīñ paayā tirī tasvīr ke ba.ad
mushtarak dost bhī chhūTe haiñ tujhe chhoḌne par
ya.anī dīvār haTānī paḌī tasvīr ke ba.ad
yaar tasvīr meñ tanhā huuñ magar log mile
ka.ī tasvīr se pahle ka.ī tasvīr ke ba.ad
dūsrā ishq mayassar hai magar kartā nahīñ
kaun dekhegā purānī na.ī tasvīr ke ba.ad
bhej detā huuñ magar pahle batā duuñ tujh ko
mujh se miltā nahīñ koī mirī tasvīr ke ba.ad
ḳhushk dīvār meñ sīlan kā sabab kyā hogā
ek adad zañg lagī kiil thī tasvīr ke ba.ad
main barash chhoD chuka aaKHiri taswir ke baad
mujh se kuchh ban nahin paya teri taswir ke baad
mushtarak dost bhi chhuTe hain tujhe chhoDne par
yani diwar haTani paDi taswir ke baad
yar taswir mein tanha hun magar log mile
kai taswir se pahle kai taswir ke baad
dusra ishq mayassar hai magar karta nahin
kaun dekhega purani nai taswir ke baad
bhej deta hun magar pahle bata dun tujh ko
mujh se milta nahin koi meri taswir ke baad
KHushk diwar mein silan ka sabab kya hoga
ek adad zang lagi kil thi taswir ke baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.