main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab
maiñ batā.ūñ ishq kyā hai ek paiham iztirāb
dhīmī dhīmī aañch kahiye yā musalsal iltihāb
raat vo aa.e the chehre se naqāb ulTe hue
maiñ to hairāñ thā nikal aayā kidhar se āftāb
dil pe un ke rū-e-raushan kā paḌā hai jab se aks
dil nahīñ hai balki siine meñ hai raushan māhtāb
un ke dīvānoñ kā istiqbāl hai dār-o-rasan
khiñch gayā jo daar par un ke liye vo kāmyāb
kyā mirī hamd-o-sanā aur kyā mirā shukr-o-sipās
un ke ehsāñ be-shumār aur un kī ne.amat be-hisāb
raat kā pichhlā pahar thā aur aañsū kī jhaḌī
merā dil thā shāyad un kī bārgah meñ bāryāb
ishq kī duniyā meñ aise hādsoñ se kyā mafar
aayā qāsid kā janāza mere naame kā javāb
ye mahal merī tamannāoñ kā ai ‘ahmad-urūj'
jaise bachchoñ kā gharauñdā jaise dīvāne kā ḳhvāb
main bataun ishq kya hai ek paiham iztirab
dhimi dhimi aanch kahiye ya musalsal iltihab
raat wo aae the chehre se naqab ulTe hue
main to hairan tha nikal aaya kidhar se aaftab
dil pe un ke ru-e-raushan ka paDa hai jab se aks
dil nahin hai balki sine mein hai raushan mahtab
un ke diwanon ka istiqbaal hai dar-o-rasan
khinch gaya jo dar par un ke liye wo kaamyab
kya meri hamd-o-sana aur kya mera shukr-o-sipas
un ke ehsan be-shumar aur un ki neamat be-hisab
raat ka pichhla pahar tha aur aansu ki jhaDi
mera dil tha shayad un ki bargah mein baryab
ishq ki duniya mein aise hadson se kya mafar
aaya qasid ka janaza mere name ka jawab
ye mahal meri tamannaon ka ai ‘ahmad-uruj'
jaise bachchon ka gharaunda jaise diwane ka KHwab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.