main bazm ki mutahayyar samaa kar dun kya
maiñ bazm kī mutahayyar samā.a kar duuñ kyā
ġhazal kī sinf meñ kuchh iḳhtirā.a kar duuñ kyā
baġhair us ke bhī zinda huuñ aur maze meñ huuñ
bichhaḌne vaale ko ye ittilā.a kar duuñ kyā
mujhe pasand nahīñ izhdihām logoñ kā
ye munkashif maiñ sar-e-ijtimā.a kar duuñ kyā
mujhe to tum ne hī barbād kar diyā lekin
tumhāre haq meñ tumhārī difā kar duuñ kyā
tumheñ pasand nahīñ hai mirā ye kār-e-suḳhan
tamām ġhazleñ kaho nazr-e-jāñ kar duuñ kyā
isī sabab to pareshān-hāl rahtā huuñ
anā ke zo'm ko 'āzam' vidā' kar duuñ kyā
main bazm ki mutahayyar samaa kar dun kya
ghazal ki sinf mein kuchh iKHtiraa kar dun kya
baghair us ke bhi zinda hun aur maze mein hun
bichhaDne wale ko ye ittilaa kar dun kya
mujhe pasand nahin izhdiham logon ka
ye munkashif main sar-e-ijtimaa kar dun kya
mujhe to tum ne hi barbaad kar diya lekin
tumhaare haq mein tumhaari difa kar dun kya
tumhein pasand nahin hai mera ye kar-e-suKHan
tamam ghazlen kaho nazr-e-jaan kar dun kya
isi sabab to pareshan-haal rahta hun
ana ke zo'm ko 'azam' wida' kar dun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.