main be-aman sahi phir bhi ye guman to hai
maiñ be-amān sahī phir bhī ye gumān to hai
zamīñ hai paañv tale sar pe āsmān to hai
har ek lamha kisī tiir kā hai Dar lekin
maiñ mutma.in huuñ ki mere paroñ meñ jaan to hai
maiñ is tarah dar-o-dīvār se huuñ begāna
ki ghar nahīñ na sahī ghar kā ik nishān to hai
maiñ apnī kashtī-e-ummīd se nahīñ māyūs
phaTā purānā sahī phir bhī bādbān to hai
maiñ apnī zaat se bāhar nikal ke sochtā huuñ
nahīñ hai rabt magar merā ḳhāndān to hai
charāġh-e-jāñ kā muqaddar ho jo bhī ai 'ma.asūm'
havā ke sāmne masrūf-e-imtihān to hai
main be-aman sahi phir bhi ye guman to hai
zamin hai panw tale sar pe aasman to hai
har ek lamha kisi tir ka hai Dar lekin
main mutmain hun ki mere paron mein jaan to hai
main is tarah dar-o-diwar se hun begana
ki ghar nahin na sahi ghar ka ek nishan to hai
main apni kashti-e-ummid se nahin mayus
phaTa purana sahi phir bhi baadban to hai
main apni zat se bahar nikal ke sochta hun
nahin hai rabt magar mera KHandan to hai
charagh-e-jaan ka muqaddar ho jo bhi ai 'masum'
hawa ke samne masruf-e-imtihan to hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.