main be-misal tha na kabhi ba-kamal tha
maiñ be-misāl thā na kabhī bā-kamāl thā
ḳhud hī javāb apnā thā ḳhud hī savāl thā
us ko na ho sakā mire dil TūTne kā ġham
saaqī ko apne jaam kā kitnā ḳhayāl thā
chaltā to shahr-e-husn thā sadiyoñ kā fāsla
ruktā to manziloñ kā bhī mujh ko ḳhayāl thā
mere lahū ke qatre hī kuchh kaam kar ga.e
varna guloñ pe pahle kab itnā jamāl thā
main be-misal tha na kabhi ba-kamal tha
KHud hi jawab apna tha KHud hi sawal tha
us ko na ho saka mere dil TuTne ka gham
saqi ko apne jam ka kitna KHayal tha
chalta to shahr-e-husn tha sadiyon ka fasla
rukta to manzilon ka bhi mujh ko KHayal tha
mere lahu ke qatre hi kuchh kaam kar gae
warna gulon pe pahle kab itna jamal tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.