main be-zaban hun use KHu hai sawal ki
maiñ be-zabān huuñ use ḳhū hai savāl kī
kaise nikal sake koī sūrat visāl kī
kaise batā.ūñ maiñ ki vo kitnā hasīn hai
aajiz haiñ vus.ateñ mire ḳhvāb-o-ḳhayāl kī
itnā vo merī zaat se ġhāfil kabhī na thā
shāyad ḳhabar na hogī use mere haal kī
tirchhī sī ik nigāh bhī muusā na sah sakā
phir kis meñ taab ho tire husn-o-jamāl kī
maut-o-hayāt hai tirī an-ban kā falsafa
tamsīl ye bhī hai tire Dhab terī chaal kī
jab se khulī taġhayyur-e-āfāq kī girah
tartīb khul ga.ī hai tirī chāl-Dhāl kī
bil-farz do-jahāñ tirā sadqa utaar duuñ
qīmat na de sakūñgā tire ek baal kī
kab tak jiyūñ maiñ tere binā tere shahr meñ
din ik sadī kā hotā hai raat ek saal kī
ye aur baat kuchh bhī tavārud meñ aa paḌe
tuf hai jo bhiik māñgūñ kisī se ḳhayāl kī
'vāqif' us aadmī ke nasab meñ bigāḌ hai
azmat jo bhuul baiThā mohammad kī aal kī
main be-zaban hun use KHu hai sawal ki
kaise nikal sake koi surat visal ki
kaise bataun main ki wo kitna hasin hai
aajiz hain wusaten mere KHwab-o-KHayal ki
itna wo meri zat se ghafil kabhi na tha
shayad KHabar na hogi use mere haal ki
tirchhi si ek nigah bhi musa na sah saka
phir kis mein tab ho tere husn-o-jamal ki
maut-o-hayat hai teri an-ban ka falsafa
tamsil ye bhi hai tere Dhab teri chaal ki
jab se khuli taghayyur-e-afaq ki girah
tartib khul gai hai teri chaal-Dhaal ki
bil-farz do-jahan tera sadqa utar dun
qimat na de sakunga tere ek baal ki
kab tak jiyun main tere bina tere shahr mein
din ek sadi ka hota hai raat ek sal ki
ye aur baat kuchh bhi tawarud mein aa paDe
tuf hai jo bhik mangun kisi se KHayal ki
'waqif' us aadmi ke nasab mein bigaD hai
azmat jo bhul baiTha mohammad ki aal ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.