main bhi gum mazi mein tha
maiñ bhī gum maazī meñ thā
dariyā bhī jaldī meñ thā
ek balā kā shor-o-ġhul
merī ḳhāmoshī meñ thā
bhar aa.iiñ us kī āñkheñ
phir dariyā kashtī meñ thā
ek hī mausam taarī kyuuñ
dil kī phulvārī meñ thā
sahrā sahrā bhaTkā maiñ
vo dil kī bastī meñ thā
lamha lamha raakh huā
maiñ bhī kab jaldī meñ thaa?
main bhi gum mazi mein tha
dariya bhi jaldi mein tha
ek bala ka shor-o-ghul
meri KHamoshi mein tha
bhar aain us ki aankhen
phir dariya kashti mein tha
ek hi mausam tari kyun
dil ki phulwari mein tha
sahra sahra bhaTka main
wo dil ki basti mein tha
lamha lamha rakh hua
main bhi kab jaldi mein tha?
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.