main bhi kab se chup baiTha hun wo bhi kab se chup baiThi hai
main bhi kab se chup baiTha hun wo bhi kab se chup baiThi hai
Ameeq Hanafi
MORE BYAmeeq Hanafi
maiñ bhī kab se chup baiThā huuñ vo bhī kab se chup baiThī hai
ye hai visāl kī rasm anokhī ye milne kī riit na.ī hai
vo jab mujh ko dekh rahī thī maiñ ne us ko dekh liyā thā
bas itnī sī baat thī lekin baḌhte baḌhte kitne baḌhī hai
be-sūrat be-jism āvāzeñ andar bhej rahī haiñ havā.eñ
band haiñ kamre ke darvāze lekin khiḌkī khulī huī hai
mere ghar kī chhat ke uupar sūraj aayā chāñd bhī utrā
chhat ke nīche ke kamroñ kī jaisī thī auqāt vahī hai
main bhi kab se chup baiTha hun wo bhi kab se chup baiThi hai
ye hai visal ki rasm anokhi ye milne ki rit nai hai
wo jab mujh ko dekh rahi thi main ne us ko dekh liya tha
bas itni si baat thi lekin baDhte baDhte kitne baDhi hai
be-surat be-jism aawazen andar bhej rahi hain hawaen
band hain kamre ke darwaze lekin khiDki khuli hui hai
mere ghar ki chhat ke upar suraj aaya chand bhi utra
chhat ke niche ke kamron ki jaisi thi auqat wahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.