main bhi kitna sada hun
maiñ bhī kitnā saada huuñ
tujh ko apnā kahtā huuñ
ḳhushbū jaisā mahkā huuñ
shāyad terā lahja huuñ
armānoñ kā dariyā huuñ
maiñ sadiyoñ se pyāsā huuñ
tū gulshan ta.abīroñ kā
maiñ ḳhvāboñ kā sahrā huuñ
mujh ko sadiyāñ mat likhnā
maiñ to guzrā lamha huuñ
maiñ aalam tahrīroñ kā
sab ke chehre paḌhtā huuñ
mujh ko kaise pūjoge
maiñ kab gūñgā bahrā huuñ
main bhi kitna sada hun
tujh ko apna kahta hun
KHushbu jaisa mahka hun
shayad tera lahja hun
armanon ka dariya hun
main sadiyon se pyasa hun
tu gulshan tabiron ka
main KHwabon ka sahra hun
mujh ko sadiyan mat likhna
main to guzra lamha hun
main aalam tahriron ka
sab ke chehre paDhta hun
mujh ko kaise pujoge
main kab gunga bahra hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.