main bhi raushan hun jamal-e-ruKH-e-jaanan mein kahin
maiñ bhī raushan huuñ jamāl-e-ruḳh-e-jānāñ meñ kahīñ
ḳhaak parvāna bhī hai sho.ala-e-uryāñ meñ kahīñ
kisī paikar meñ bhī pahchān nahīñ hai us kī
kyā surāġh us kā mile dasht-o-gulistāñ meñ kahīñ
hijr ke daaġh meñ tabdīl huā lamha-e-vasl
thī kamī koī mire shauq-e-farāvāñ meñ kahīñ
jal gayā baaġh magar sham-e-numū-ḳhez kī lau
sabz hai har shajar-e-soḳhta-sāmāñ meñ kahīñ
mujh ko sho.aloñ meñ bhī jiine kā sikhātā hai hunar
ik samundar mire ātish-kada-e-jāñ meñ kahīñ
apnī vahshat kā ġhubār uThte hue dekhtā huuñ
maiñ bhī huuñ apne hī āhū-e-gurezāñ meñ kahīñ
'ishrat' ik harf-e-bashārat thī vo āvāz-e-qadam
ik charāġh aur jalā ḳhāna-e-imkāñ meñ kahīñ
main bhi raushan hun jamal-e-ruKH-e-jaanan mein kahin
KHak parwana bhi hai shoala-e-uryan mein kahin
kisi paikar mein bhi pahchan nahin hai us ki
kya suragh us ka mile dasht-o-gulistan mein kahin
hijr ke dagh mein tabdil hua lamha-e-wasl
thi kami koi mere shauq-e-farawan mein kahin
jal gaya bagh magar sham-e-numu-KHez ki lau
sabz hai har shajar-e-soKHta-saman mein kahin
mujh ko shoalon mein bhi jine ka sikhata hai hunar
ek samundar mere aatish-kada-e-jaan mein kahin
apni wahshat ka ghubar uThte hue dekhta hun
main bhi hun apne hi aahu-e-gurezan mein kahin
'ishrat' ek harf-e-bashaarat thi wo aawaz-e-qadam
ek charagh aur jala KHana-e-imkan mein kahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.