main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne
maiñ bhī sharīk-e-marg huuñ mar mere sāmne
merī sadā ke phuul bikhar mere sāmne
āḳhir vo aarzū mere sar par savār thī
laa.e the jis ko ḳhāk-ba-sar mere sāmne
kahte nahīñ haiñ us kā suḳhan mere aas paas
dete nahīñ haiñ us kī ḳhabar mere sāmne
aage baḌhūñ to zard ghaTā mere rū-ba-rū
pīchhe muḌūñ to gard-e-safar mere sāmne
maiñ ḳhud kisī ke ḳhuun kī āñdhī huuñ in dinoñ
uḌtī huī havā se na Dar mere sāmne
āñkhoñ meñ raakh Daal ke niklā huuñ sair ko
shāḳhoñ pe nāchte haiñ sharar mere sāmne
taarī hai ik sukūt 'zafar' ḳhāk-o-ḳhisht par
jaarī hai bādaloñ kā safar mere sāmne
main bhi sharik-e-marg hun mar mere samne
meri sada ke phul bikhar mere samne
aaKHir wo aarzu mere sar par sawar thi
lae the jis ko KHak-ba-sar mere samne
kahte nahin hain us ka suKHan mere aas pas
dete nahin hain us ki KHabar mere samne
aage baDhun to zard ghaTa mere ru-ba-ru
pichhe muDun to gard-e-safar mere samne
main KHud kisi ke KHun ki aandhi hun in dinon
uDti hui hawa se na Dar mere samne
aankhon mein rakh Dal ke nikla hun sair ko
shaKHon pe nachte hain sharar mere samne
tari hai ek sukut 'zafar' KHak-o-KHisht par
jari hai baadalon ka safar mere samne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.