main bhi to samjhun ki wo kahte hain kya mere baad
main bhi to samjhun ki wo kahte hain kya mere baad
Shaida Allahabadi
MORE BYShaida Allahabadi
maiñ bhī to samjhūñ ki vo kahte haiñ kyā mere baad
dil to lenā kabhī tum un kā zarā mere baad
ab vo kyā karte haiñ kar sakte haiñ kyā mere baad
mere bachchoñ kī ḳhabar legā ḳhudā mere baad
beTī allāh tumheñ sabr de daa.ī to chalī
kis ko ab kah ke purkārūñgī buā mere baad
vo mirī saut thī sab jis ko samajhte the bahan
kis ko mā'lūm thā ye haal khulā mere baad
harj hī kyā hai batā dījiye mujh ko bhī zarā
kuchh to kahte the chachī jaan chachā mere baad
maiñ jo mar jā.ūñ to bachchoñ pe na saḳhtī karnā
rakhnā ārām se honā na ḳhafā mere baad
aur nandoñ kī tarah bhī to nahīñ maiñ bhābī
tum ko bhayyā se na karnā thā gilā mere baad
tum salāmat raho duniyā meñ du'ā hai ye mirī
be-vafā 'umr kare aur vafā mere baad
is ko kyā kahiye ye ā'māl haiñ apne apne
mujh se pahle vo marā dafn huā mere baad
kal qayāmat ko tumheñ aa ke karūñgī maiñ salām
na sahī aaj to pāoge sazā mere baad
yaad aa.egā bahut tum ko ye khānā piinā
phir kisī shai meñ na pāoge mazā mere baad
itnā karnā inheñ maike mire pahuñchā denā
saut kyā rakkhegī bachchoñ ko bhalā mere baad
maiñ mu'āfī na agar māñgne pā.ūñ tum se
baḳhsh denā miyāñ tum merī ḳhatā mere baad
in ko kumbe meñ kisī se nahīñ ab koī ġharaz
na vafā baaqī hai in meñ na jafā mere baad
jis qadar chāhe satā le mujhe ye saut muī
is ko bhī aa.egī ik roz qazā mere baad
thaam kar 'arsh ḳhudā se maiñ karūñgī fariyād
mere bachchoñ pe jo tum hoge ḳhafā mere baad
kabhī dar se kabhī dīvār se Takrā.eñge sar
le ke jab ā.eñge vo ghar meñ davā mere baad
nabz tak maiñ ne hakīmoñ ko nahīñ dikhlā.ī
mujh ko muñh Dhāñk ke ro.egī hayā mere baad
kam nahīñ aaj bhī go qadr mirī ai 'shaidā'
naam hogā mirā is se bhī sivā mere baad
main bhi to samjhun ki wo kahte hain kya mere baad
dil to lena kabhi tum un ka zara mere baad
ab wo kya karte hain kar sakte hain kya mere baad
mere bachchon ki KHabar lega KHuda mere baad
beTi allah tumhein sabr de dai to chali
kis ko ab kah ke purkarungi bua mere baad
wo meri saut thi sab jis ko samajhte the bahan
kis ko ma'lum tha ye haal khula mere baad
harj hi kya hai bata dijiye mujh ko bhi zara
kuchh to kahte the chachi jaan chacha mere baad
main jo mar jaun to bachchon pe na saKHti karna
rakhna aaram se hona na KHafa mere baad
aur nandon ki tarah bhi to nahin main bhabi
tum ko bhayya se na karna tha gila mere baad
tum salamat raho duniya mein du'a hai ye meri
be-wafa 'umr kare aur wafa mere baad
is ko kya kahiye ye aa'mal hain apne apne
mujh se pahle wo mara dafn hua mere baad
kal qayamat ko tumhein aa ke karungi main salam
na sahi aaj to paoge saza mere baad
yaad aaega bahut tum ko ye khana pina
phir kisi shai mein na paoge maza mere baad
itna karna inhen maike mere pahuncha dena
saut kya rakkhegi bachchon ko bhala mere baad
main mu'afi na agar mangne paun tum se
baKHsh dena miyan tum meri KHata mere baad
in ko kumbe mein kisi se nahin ab koi gharaz
na wafa baqi hai in mein na jafa mere baad
jis qadar chahe sata le mujhe ye saut mui
is ko bhi aaegi ek roz qaza mere baad
tham kar 'arsh KHuda se main karungi fariyaad
mere bachchon pe jo tum hoge KHafa mere baad
kabhi dar se kabhi diwar se Takraenge sar
le ke jab aaenge wo ghar mein dawa mere baad
nabz tak main ne hakimon ko nahin dikhlai
mujh ko munh Dhank ke roegi haya mere baad
kam nahin aaj bhi go qadr meri ai 'shaida'
nam hoga mera is se bhi siwa mere baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.