main bhi zara KHamosh tha tum bhi udas the
maiñ bhī zarā ḳhamosh thā tum bhī udaas the
ik dūsre ke donoñ hī kuchh ās-pās the
chehre bhī masḳh ho ga.e rūhoñ ke saath saath
kyā jaane kis tarah ke vo zarrīñ libās the
ūñchī 'imārateñ bhī baneñgī vabāl-e-jān
kuchh apne saath auroñ ke bhī ye qayās the
uḌte hue jo dhuup meñ utre thake paroñ
tālāb ḳhushk aur vo sadiyoñ kī pyaas the
'aql-o-nazar se aur bhī dushvāriyāñ baḌhīñ
achchhā thā jab Thikāne na hosh-o-havās the
main bhi zara KHamosh tha tum bhi udas the
ek dusre ke donon hi kuchh aas-pas the
chehre bhi masKH ho gae ruhon ke sath sath
kya jaane kis tarah ke wo zarrin libas the
unchi 'imaraten bhi banengi wabaal-e-jaan
kuchh apne sath auron ke bhi ye qayas the
uDte hue jo dhup mein utre thake paron
talab KHushk aur wo sadiyon ki pyas the
'aql-o-nazar se aur bhi dushwariyan baDhin
achchha tha jab Thikane na hosh-o-hawas the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.