main bik jata mujhe inkar kab tha
maiñ bik jaatā mujhe inkār kab thā
yahāñ par misr kā bāzār kab thā
mulāqāteñ bhī rasman ho rahī thiiñ
diloñ meñ jazba-e-īsār kab thā
maiñ us ko maut se bhī chhīn laatā
vo jiine ke liye tayyār kab thā
agar kuchh hausla hotā to chalte
vafā kā rāsta dushvār kab thā
'ziyā' maiñ saare bandhan toḌ detā
tumhāre vāste inkār kab thā
main bik jata mujhe inkar kab tha
yahan par misr ka bazar kab tha
mulaqaten bhi rasman ho rahi thin
dilon mein jazba-e-isar kab tha
main us ko maut se bhi chhin lata
wo jine ke liye tayyar kab tha
agar kuchh hausla hota to chalte
wafa ka rasta dushwar kab tha
'ziya' main sare bandhan toD deta
tumhaare waste inkar kab tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.