main bil-umum jo honTon ko band rakhti hun
maiñ bil-umūm jo hoñToñ ko band rakhtī huuñ
muḳhālifat meñ bhī apnī pasand rakhtī huuñ
maiñ jāntī huuñ ki mujh se na ban paḌegā kuchh
yahī bahut hai dil-e-dard-mañd rakhtī huuñ
ye kam nahīñ ki julūs-e-jahāñ meñ rah kar bhī
kisī kī yaad kā parcham buland rakhtī huuñ
tire usūl-e-mohabbat se mujh ko shikva hai
magar maiñ ḳhud ko tirā kār-band rakhtī huuñ
agar ye āñdhiyāñ chaltī haiñ mere sar meñ 'qamar'
to kyuuñ maiñ ghar ke darīchoñ ko band rakhtī huuñ
main bil-umum jo honTon ko band rakhti hun
muKHalifat mein bhi apni pasand rakhti hun
main jaanti hun ki mujh se na ban paDega kuchh
yahi bahut hai dil-e-dard-mand rakhti hun
ye kam nahin ki julus-e-jahan mein rah kar bhi
kisi ki yaad ka parcham buland rakhti hun
tere usul-e-mohabbat se mujh ko shikwa hai
magar main KHud ko tera kar-band rakhti hun
agar ye aandhiyan chalti hain mere sar mein 'qamar'
to kyun main ghar ke darichon ko band rakhti hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.