main birha ki nar jise har pani ras nahin
maiñ birhā kī naar jise har paanī raas nahīñ
tū ThanDā mīThā hai lekin mujh ko pyaas nahīñ
yuuñ sunte haiñ jaise ḳhvāboñ kī āvāz ho tum
yuuñ baiThe haiñ baiThe hone kā ehsās nahīñ
saare sikkoñ par hai donoñ jānib terā naqsh
aise meñ to jhagḌā hī mumkin hai toss nahīñ
koī jaan se pyārā rishta jab āzār bane
bas thoḌā sā nāḳhun kaaTā jaa.e maas nahīñ
maiñ ne baaġh lagāyā is meñ phuul aur phal to haiñ
duniyā ke talve sahlāne vaalī ghaas nahīñ
koī dhaḌkan jaisā shaḳhs achānak chhoḌe saath
ġhussa kar lenā par apne dil kā naas nahīñ
tū hai mere dil se lipTī phūloñ vaalī bel
ḳhushbū jaisī beTī tū ummīd hai yaas nahīñ
in aadhī bātoñ ne puure sher banā.e haiñ
ab jin ke baqiyā aadhe kī bilkul aas nahīñ
himmat hai to hijrat kar is duniyā-dārī se
ghar ko jañgal kar denā koī ban-bās nahīñ
har ḳhushbū ko un par zaa.e.a hote dekhā hai
jin kī qismat meñ apnī miTTī kī baas nahīñ
ye jo andar girāte rahte haiñ in ko bāñdh
duniyā vo haDDī hai jis par koī maas nahīñ
is lafzī sairābī ko bebas kī chīḳh samajh
kuchh pyāsoñ ko kahnā paḌ jaatā hai pyaas nahīñ
main birha ki nar jise har pani ras nahin
tu ThanDa miTha hai lekin mujh ko pyas nahin
yun sunte hain jaise KHwabon ki aawaz ho tum
yun baiThe hain baiThe hone ka ehsas nahin
sare sikkon par hai donon jaanib tera naqsh
aise mein to jhagDa hi mumkin hai toss nahin
koi jaan se pyara rishta jab aazar bane
bas thoDa sa naKHun kaTa jae mas nahin
main ne bagh lagaya is mein phul aur phal to hain
duniya ke talwe sahlane wali ghas nahin
koi dhaDkan jaisa shaKHs achanak chhoDe sath
ghussa kar lena par apne dil ka nas nahin
tu hai mere dil se lipTi phulon wali bel
KHushbu jaisi beTi tu ummid hai yas nahin
in aadhi baaton ne pure sher banae hain
ab jin ke baqiya aadhe ki bilkul aas nahin
himmat hai to hijrat kar is duniya-dari se
ghar ko jangal kar dena koi ban-bas nahin
har KHushbu ko un par zaea hote dekha hai
jin ki qismat mein apni miTTi ki bas nahin
ye jo andar giraate rahte hain in ko bandh
duniya wo haDDi hai jis par koi mas nahin
is lafzi sairabi ko bebas ki chiKH samajh
kuchh pyason ko kahna paD jata hai pyas nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.