Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

main bosa lunga bahane bataiye na mujhe

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

main bosa lunga bahane bataiye na mujhe

Pandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

MORE BYPandit Daya Shankar Naseem Lakhnawi

    maiñ bosa lūñgā bahāne batā.iye na mujhe

    jo dil liyā hai to qīmat dilā.iye na mujhe

    diloñ meñ Tālte ho dam nikal jāvegā

    maiñ nā-tavāñ huuñ bahut āzmā.iye na mujhe

    bahut dinoñ se masīhā.ī ho dam bharte

    marā huā huuñ tumhīñ par jilā.iye na mujhe

    ḳhat aap bhejeñge mujh ko patang par likh kar

    ye Dore jaate hue haiñ uḌā.iye na mujhe

    khilāyā chāhiye ho gul raqīb ke aage

    ye garmī aur se kiije jalā.iye na mujhe

    tumheñ raqīb ḳhātir hai lo maiñ jaatā huuñ

    uThā.iye na hayā ko biThā.iye na mujhe

    main bosa lunga bahane bataiye na mujhe

    jo dil liya hai to qimat dilaiye na mujhe

    dilon mein Talte ho dam nikal hi jawega

    main na-tawan hun bahut aazmaiye na mujhe

    bahut dinon se masihai ka ho dam bharte

    mara hua hun tumhin par jilaiye na mujhe

    KHat aap bhejenge mujh ko patang par likh kar

    ye Dore jate hue hain uDaiye na mujhe

    khilaya chahiye ho gul raqib ke aage

    ye garmi aur se kije jalaiye na mujhe

    tumhein raqib ki KHatir hai lo main jata hun

    uThaiye na haya ko biThaiye na mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now