main chahta hun ki jazbon ki tarjumani ho
maiñ chāhtā huuñ ki jazboñ kī tarjumānī ho
maiñ chāhtā huuñ ki iz.hār muñh-zabānī ho
maiñ chāhtā huuñ ki har shai ho dastiyāb mujhe
maiñ chāhtā huuñ ki dāman meñ rā.egānī ho
maiñ chāhtā huuñ tire saath zindagī guzre
maiñ chāhtā huuñ koī aur bhī kahānī ho
maiñ chāhtā huuñ bichhaḌne kā Dar rahe ham meñ
maiñ chāhtā huuñ mohabbat meñ bad-gumānī ho
maiñ chāhtā huuñ judā.ī kā naam bhī na rahe
maiñ chāhtā huuñ kisī aañkh meñ na paanī ho
main chahta hun ki jazbon ki tarjumani ho
main chahta hun ki izhaar munh-zabani ho
main chahta hun ki har shai ho dastiyab mujhe
main chahta hun ki daman mein raegani ho
main chahta hun tere sath zindagi guzre
main chahta hun koi aur bhi kahani ho
main chahta hun bichhaDne ka Dar rahe hum mein
main chahta hun mohabbat mein bad-gumani ho
main chahta hun judai ka nam bhi na rahe
main chahta hun kisi aankh mein na pani ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.