main chahta hun tarashun zaif hone tak
maiñ chāhtā huuñ tarāshūñ za.iif hone tak
javān qāfiye būḌhī radīf hone tak
ham us kī shart pe qaa.em rahe magar vo shaḳhs
badal chukā thā hamāre sharīf hone tak
jalā.e jaate haiñ īñdhan ke taur par ik din
jo saaya dete haiñ sab ko nahīf hone tak
javāñ badan ke masā.ib ajab masā.ib haiñ
lahū rulāte haiñ dil ko za.iif hone tak
diyā bujhāte hī khul jā.eñge ḳhayāl ke dar
ye band rahte haiñ manzar latīf hone tak
banā hī leñge machhere makān shahroñ meñ
chamakte dariyā kā paanī kasīf hone tak
main chahta hun tarashun zaif hone tak
jawan qafiye buDhi radif hone tak
hum us ki shart pe qaem rahe magar wo shaKHs
badal chuka tha hamare sharif hone tak
jalae jate hain indhan ke taur par ek din
jo saya dete hain sab ko nahif hone tak
jawan badan ke masaib ajab masaib hain
lahu rulate hain dil ko zaif hone tak
diya bujhate hi khul jaenge KHayal ke dar
ye band rahte hain manzar latif hone tak
bana hi lenge machhere makan shahron mein
chamakte dariya ka pani kasif hone tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.