main chala jaunga meri dil-lagi rah jaegi
maiñ chalā jā.ūñgā merī dil-lagī rah jā.egī
pyaar se ḳhālī tumhārī zindagī rah jā.egī
chāñd gahnā jā.eñge jab vaqt ke ākāsh par
āñganoñ meñ bain kartī chāñdnī rah jā.egī
tīrgī meñ chhoḌ jā.eñge sabhī tujh ko magar
merī yādoñ kī faqat ik raushnī rah jā.egī
lūTne vaalo vafā ke naam par ai dosto
is jahāñ meñ haath maltī dostī rah jā.egī
kyā banegā is jahāñ meñ ashraf-ul-maḳhlūq kā
har taraf jab dushmanī hī dushmanī rah jā.egī
vo bhī din ā.eñge is dhartī pe logo dekhnā
chār-sū jab āshtī hī āshtī rah jā.egī
main chala jaunga meri dil-lagi rah jaegi
pyar se KHali tumhaari zindagi rah jaegi
chand gahna jaenge jab waqt ke aakash par
aanganon mein bain karti chandni rah jaegi
tirgi mein chhoD jaenge sabhi tujh ko magar
meri yaadon ki faqat ek raushni rah jaegi
luTne walo wafa ke nam par ai dosto
is jahan mein hath malti dosti rah jaegi
kya banega is jahan mein ashraf-ul-maKHluq ka
har taraf jab dushmani hi dushmani rah jaegi
wo bhi din aaenge is dharti pe logo dekhna
chaar-su jab aashti hi aashti rah jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.