main chala jaunga rah jaega afsana mera
maiñ chalā jā.ūñgā rah jā.egā afsāna mirā
zikr karte hī raheñge sab harīfāna mirā
mai mujhe mamnūa sāġhar dastaras se duur hai
aur farmātā hai saaqī hai ye mai-ḳhāna mirā
ab to jaanā hī nahīñ hotā hai va.ada-gāh meñ
muddatoñ tak ye rahā ma.amūl rozāna mirā
khīñchtā hai kaun sā ehsās ab us kī taraf
ho chukā hai jis se yaksar qalb begāna mirā
boriyā maujūd hai āñkheñ bhī farsh-e-rāh meñ
aa.iye to ghar hai ye hāzir ġharībāna mirā
kaifiyat bāham mohabbat meñ vo sarshārī kī hai
āshiqāna un kā taur andāz jānāna mirā
pūchhtā phirtā hai 'shaukat' koī mere ba.ad ab
kyā huā rahtā thā yaañ jo ek dīvāna mirā
main chala jaunga rah jaega afsana mera
zikr karte hi rahenge sab harifana mera
mai mujhe mamnua saghar dastaras se dur hai
aur farmata hai saqi hai ye mai-KHana mera
ab to jaana hi nahin hota hai wada-gah mein
muddaton tak ye raha mamul rozana mera
khinchta hai kaun sa ehsas ab us ki taraf
ho chuka hai jis se yaksar qalb begana mera
boriya maujud hai aankhen bhi farsh-e-rah mein
aaiye to ghar hai ye hazir gharibana mera
kaifiyat baham mohabbat mein wo sarshaari ki hai
aashiqana un ka taur andaz jaanana mera
puchhta phirta hai 'shaukat' koi mere baad ab
kya hua rahta tha yan jo ek diwana mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.