main chehre par wasiyyat likh raha hun
maiñ chehre par vasiyyat likh rahā huuñ
pasīne se mashaqqat likh rahā huuñ
milī hai aaj fursat likh rahā huuñ
bahut tāḳhīr se ḳhat likh rahā huuñ
samay kī dhuup se chehre par apne
har ik pal kī aziyyat likh rahā huuñ
ka.ī din ke maiñ fāqoñ se guzar kar
bas ik TukḌā ġhanīmat likh rahā huuñ
yahāñ par kuchh shanāsāoñ se mil kar
ye daur-e-ajnabiyyat likh rahā huuñ
kabhī aa kar milo mujh ajnabī se
maiñ ik lamha qayāmat likh rahā huuñ
amīr-e-kārvāñ ko ye ḳhabar do
ki manzil kī bashārat likh rahā huuñ
tirā ehsān hai mujh par mirī jaañ
tire ġham kī badaulat likh rahā huuñ
ye mausam ke sabhī rangoñ meñ Dhal kar
mizāj-e-ādmiyyat likh rahā huuñ
main chehre par wasiyyat likh raha hun
pasine se mashaqqat likh raha hun
mili hai aaj fursat likh raha hun
bahut taKHir se KHat likh raha hun
samay ki dhup se chehre par apne
har ek pal ki aziyyat likh raha hun
kai din ke main faqon se guzar kar
bas ek TukDa ghanimat likh raha hun
yahan par kuchh shanasaon se mil kar
ye daur-e-ajnabiyyat likh raha hun
kabhi aa kar milo mujh ajnabi se
main ek lamha qayamat likh raha hun
amir-e-karwan ko ye KHabar do
ki manzil ki bashaarat likh raha hun
tera ehsan hai mujh par meri jaan
tere gham ki badaulat likh raha hun
ye mausam ke sabhi rangon mein Dhal kar
mizaj-e-admiyyat likh raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.