main chiKH chiKH ke mar jaun jab talak rakhna
maiñ chīḳh chīḳh ke mar jā.ūñ jab talak rakhnā
mire tabīb mire zaḳhm par namak rakhnā
ye chāñd taare ye sūraj bahut hī halke haiñ
ki mere kāñdhoñ pe sātoñ bhī tum falak rakhnā
yahāñ to jhuuT bhī chillā ke bolte haiñ log
jo sach kaho to phir āvāz meñ khanak rakhnā
rivāyatoñ kī mahak se shanāḳht ho jaa.e
tum apne lahje meñ ajdād kī jhalak rakhnā
samā'atoñ kī nazar sun ke ḳhīra ho jaa.e
ġhazal ke fan meñ na.ī vo chamak-damak rakhnā
main chiKH chiKH ke mar jaun jab talak rakhna
mere tabib mere zaKHm par namak rakhna
ye chand tare ye suraj bahut hi halke hain
ki mere kandhon pe saton bhi tum falak rakhna
yahan to jhuT bhi chilla ke bolte hain log
jo sach kaho to phir aawaz mein khanak rakhna
riwayaton ki mahak se shanaKHt ho jae
tum apne lahje mein ajdad ki jhalak rakhna
sama'aton ki nazar sun ke KHira ho jae
ghazal ke fan mein nai wo chamak-damak rakhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.