main chup hun aur duniya sun rahi hai
maiñ chup huuñ aur duniyā sun rahī hai
ḳhamoshī dāstāneñ bun rahī hai
ta.ajjub hai ki ik sone kī chiḌiyā
bayābānoñ meñ tinke chun rahī hai
kahāñ nekī gunāhoñ se hī bach leñ
hameñ to bas yahī ik dhun rahī hai
tujhe mahsūs karte bhī to kaise
chhaTī his bhī hamārī sun rahī hai
maiñ us bastī kā bāshinda thā yārab
jahāñ sachchā.ī bhī avgun rahī hai
yahāñ gardish meñ haiñ din raat 'anjum'
vahāñ bas ik sadā-e-kun rahī hai
main chup hun aur duniya sun rahi hai
KHamoshi dastanen bun rahi hai
tajjub hai ki ek sone ki chiDiya
bayabanon mein tinke chun rahi hai
kahan neki gunahon se hi bach len
hamein to bas yahi ek dhun rahi hai
tujhe mahsus karte bhi to kaise
chhaTi his bhi hamari sun rahi hai
main us basti ka bashinda tha yarab
jahan sachchai bhi awgun rahi hai
yahan gardish mein hain din raat 'anjum'
wahan bas ek sada-e-kun rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.