main chup raha ki zahr yahi mujhko ras tha
maiñ chup rahā ki zahr yahī mujh ko raas thā
vo sañg-e-lafz pheñk ke kitnā udaas thā
aksar mirī qabā pe hañsī aa ga.ī jise
kal mil gayā to vo bhī darīda-libās thā
maiñ DhūñDhtā thā duur ḳhalāoñ meñ ek jism
chehroñ kā ik hujūm mire ās-pās thā
tum ḳhush the pattharoñ ko ḳhudā jaan ke magar
mujh ko yaqīn hai vo tumhārā qayās thā
baḳhshā hai jis ne ruuh ko zaḳhmoñ kā pairahan
'mohsin' vo shaḳhs kitnā tabī.at-shanās thā
main chup raha ki zahr yahi mujh ko ras tha
wo sang-e-lafz phenk ke kitna udas tha
aksar meri qaba pe hansi aa gai jise
kal mil gaya to wo bhi darida-libas tha
main DhunDhta tha dur KHalaon mein ek jism
chehron ka ek hujum mere aas-pas tha
tum KHush the pattharon ko KHuda jaan ke magar
mujh ko yaqin hai wo tumhaara qayas tha
baKHsha hai jis ne ruh ko zaKHmon ka pairahan
'mohsin' wo shaKHs kitna tabiat-shanas tha
- Book : Kulliyat-e-mohsin (Pg. 69)
- Author : Mohsin Naqvi
- Publication : Mavra Publishers (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.