main dasht mein gar KHud ko muhayya nahin karta
maiñ dasht meñ gar ḳhud ko muhayyā nahīñ kartā
gardish se rihā mujh ko bagūla nahīñ kartā
pahchān ko ik dil hī madad-gār bahut hai
so pesh koī aur havāla nahīñ kartā
dekhā hī nahīñ aañkh ne jis shahr ko pahle
vo bhī mirī hairat meñ izāfa nahīñ kartā
har zaḳhm kī lazzat kā parastār huuñ lekin
sairāb mujhe ye bhī nivāla nahīñ kartā
manzil se hai ye kaisī aqīdat ki safar meñ
raahī koī raste pe bharosa nahīñ kartā
ab dahr meñ aġhyār kī rasmoñ kā chalan hai
ab kaam azīzoñ kā tarīqa nahīñ kartā
kaisā hai mirī zaat kā bikhrāo ki 'rāhat'
sahrā mirī vus.at kā ahāta nahīñ kartā
main dasht mein gar KHud ko muhayya nahin karta
gardish se riha mujh ko bagula nahin karta
pahchan ko ek dil hi madad-gar bahut hai
so pesh koi aur hawala nahin karta
dekha hi nahin aankh ne jis shahr ko pahle
wo bhi meri hairat mein izafa nahin karta
har zaKHm ki lazzat ka parastar hun lekin
sairab mujhe ye bhi niwala nahin karta
manzil se hai ye kaisi aqidat ki safar mein
rahi koi raste pe bharosa nahin karta
ab dahr mein aghyar ki rasmon ka chalan hai
ab kaam azizon ka tariqa nahin karta
kaisa hai meri zat ka bikhrao ki 'rahat'
sahra meri wusat ka ahata nahin karta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.