main dekh hi raha tha ki yak-dam bhanwar phira
maiñ dekh hī rahā thā ki yak-dam bhañvar phirā
ghūmā sadaf nigāh meñ us meñ guhar phirā
sīdhe subhāv ziist samajhnā muhāl hai
is kaam ko bhī chāhiye mujh sā hī sar-phirā
ham to sadā se basta-e-yak-tār-e-chashm haiñ
ḳhadsha sā terī samt se hai tū agar phirā
yak-dam kisī kī yaad meñ āñkheñ bhar aa.ī thiiñ
ik din yūñhī ḳhayāl sū-e-chashm-e-tar phirā
'aḳhtar' zar-e-suḳhan kī kisī ko talab nahīñ
maiñ to ise uThā.e hue dar-ba-dar phirā
main dekh hi raha tha ki yak-dam bhanwar phira
ghuma sadaf nigah mein us mein guhar phira
sidhe subhaw zist samajhna muhaal hai
is kaam ko bhi chahiye mujh sa hi sar-phira
hum to sada se basta-e-yak-tar-e-chashm hain
KHadsha sa teri samt se hai tu agar phira
yak-dam kisi ki yaad mein aankhen bhar aai thin
ek din yunhi KHayal su-e-chashm-e-tar phira
'aKHtar' zar-e-suKHan ki kisi ko talab nahin
main to ise uThae hue dar-ba-dar phira
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.