main DhunDhta hun kise bar-bar kya kahiye
maiñ DhūñDhtā huuñ kise bār-bār kyā kahiye
taḌap taḌap ke shab-e-intizār kyā kahiye
ye inqilāb-e-zamāna ye gardish-e-daurāñ
banā hai dushman-e-jāñ ġham-gusār kyā kahiye
fareb-ḳhurda-e-rahbar samajh sake ye raaz
kisī se un ke sivā hāl-e-zār kyā kahiye
chaman ke phuul pe jis kā hai haq vahī bulbul
qafas meñ band hai vaqt-e-bahār kyā kahiye
ye had jahāñ meñ hai apnī siyāh-baḳhtī kī
bujhā bujhā hai charāġh-e-mazār kyā kahiye
ġham-e-hayāt se fursat nahīñ hai ik lamha
kisī se hāl-e-ġham-e-rozgār kyā kahiye
ḳhizāñ-badosh gulistān-e-ārzū meñ 'jalāl'
kabhī to aa ke hai rahnā bahār kyā kahiye
main DhunDhta hun kise bar-bar kya kahiye
taDap taDap ke shab-e-intizar kya kahiye
ye inqilab-e-zamana ye gardish-e-dauran
bana hai dushman-e-jaan gham-gusar kya kahiye
fareb-KHurda-e-rahbar samajh sake ye raaz
kisi se un ke siwa haal-e-zar kya kahiye
chaman ke phul pe jis ka hai haq wahi bulbul
qafas mein band hai waqt-e-bahaar kya kahiye
ye had jahan mein hai apni siyah-baKHti ki
bujha bujha hai charagh-e-mazar kya kahiye
gham-e-hayat se fursat nahin hai ek lamha
kisi se haal-e-gham-e-rozgar kya kahiye
KHizan-badosh gulistan-e-arzu mein 'jalal'
kabhi to aa ke hai rahna bahaar kya kahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.