main diwaron se baaten kar raha tha
maiñ dīvāroñ se bāteñ kar rahā thā
mire pahlū meñ jaltā ik diyā thā
mire paañv kahāñ ulTe paḌeñge
mirī āñkhoñ meñ un kā naqsh-e-pā thā
mohabbat kī kahānī maiñ ne likkhī
vagarna ye to bas ik vāqi.a thā
mire hoñToñ se chipkī jā rahīñ thiiñ
un āñkhoñ kā anokhā zā.iqa thā
hamāre mas.ale kā ye thā baa.is
hamāre saath dil kā mas.ala thā
safar meñ aañkh lagte koī bolā
tumhārā ham-safar to dūsrā thā
main diwaron se baaten kar raha tha
mere pahlu mein jalta ek diya tha
mere panw kahan ulTe paDenge
meri aankhon mein un ka naqsh-e-pa tha
mohabbat ki kahani main ne likkhi
wagarna ye to bas ek waqia tha
mere honTon se chipki ja rahin thin
un aankhon ka anokha zaiqa tha
hamare masale ka ye tha bais
hamare sath dil ka masala tha
safar mein aankh lagte koi bola
tumhaara ham-safar to dusra tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.