main dil har bar yun bahla rahi hun
maiñ dil har baar yuuñ bahlā rahī huuñ
sitāroñ se bhī aage jā rahī huuñ
yahāñ koī nahīñ aatā musāfir
diye phir kyoñ jalā.e jā rahī huuñ
diye dhoke mujhe har baar dil ne
maiñ huuñ dhoke pe dhoke khā rahī huuñ
pahāḌoñ kī bulandī par nazar hai
ruke bin hī maiñ baḌhtī jā rahī huuñ
bahut mānūs bastī dard kī hai
ye dil ko bārhā samjhā rahī huuñ
hamesha saath degā kaun 'shailī'
bharosa kis kā kartī jā rahī huuñ
main dil har bar yun bahla rahi hun
sitaron se bhi aage ja rahi hun
yahan koi nahin aata musafir
diye phir kyon jalae ja rahi hun
diye dhoke mujhe har bar dil ne
main hun dhoke pe dhoke kha rahi hun
pahaDon ki bulandi par nazar hai
ruke bin hi main baDhti ja rahi hun
bahut manus basti dard ki hai
ye dil ko barha samjha rahi hun
hamesha sath dega kaun 'shaili'
bharosa kis ka karti ja rahi hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.