main dil mein laya use chashm-e-tar ke zine se
maiñ dil meñ laayā use chashm-e-tar ke ziine se
yuuñ saare zaḳhm dikhātā gayā qarīne se
ye barf-zār-e-mohabbat ye january kā sukūt
hazār ishq juḌe haiñ isī mahīne se
yuuñ ek ism dhaḌaktā hai raushnī kī tarah
ki tūr-e-sīnā jale jaise mere siine se
gulāb lab vo kisī ke vo surmagīñ āñkheñ
vo zulf naag sī lipTī huī ḳhazīne se
vo nāḳhudā se bachā aur na ḳhudā se bachā
koī pukārā kiyā Dūbte safīne se
pukārtā hai udāsī meñ shaam kā manzar
na jaa.e kuufa kī jānib koī madīne se
ye ashk ghar se ga.e be-amān bachchoñ se
bikharte TūTte phirte haiñ ābgīne se
main dil mein laya use chashm-e-tar ke zine se
yun sare zaKHm dikhata gaya qarine se
ye barf-zar-e-mohabbat ye january ka sukut
hazar ishq juDe hain isi mahine se
yun ek ism dhaDakta hai raushni ki tarah
ki tur-e-sina jale jaise mere sine se
gulab lab wo kisi ke wo surmagin aankhen
wo zulf nag si lipTi hui KHazine se
wo naKHuda se bacha aur na KHuda se bacha
koi pukara kiya Dubte safine se
pukarta hai udasi mein sham ka manzar
na jae kufa ki jaanib koi madine se
ye ashk ghar se gae be-aman bachchon se
bikharte TuTte phirte hain aabgine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.