main diya hun mera kaam jalna hai yaro
maiñ diyā huuñ merā kaam jalnā hai yaaro
in añdheroñ meñ bhī mujh ko chalnā yaaro
barf kab tak rahegī jamī is tarah se
ek na ek din to pighalnā hai yaaro
qaid ḳhud meñ rakhā hai use maiñ ne kab se
ruuh ko merī ghar se nikalnā hai yaaro
dhuup kī huuñ kiran maiñ utartī zamīñ pe
in pahāḌoñ se bhī to phisalnā hai yaaro
yaad karnā use bhuul jaanā ḳhudī ko
ādatoñ ko merī ab badalnā hai yaaro
thā maiñ kyā aur ab kyā hue jā rahā huuñ
aur kitne hī sāñchoñ meñ Dhalnā hai yaaro
main diya hun mera kaam jalna hai yaro
in andheron mein bhi mujh ko chalna yaro
barf kab tak rahegi jami is tarah se
ek na ek din to pighalna hai yaro
qaid KHud mein rakha hai use main ne kab se
ruh ko meri ghar se nikalna hai yaro
dhup ki hun kiran main utarti zamin pe
in pahaDon se bhi to phisalna hai yaro
yaad karna use bhul jaana KHudi ko
aadaton ko meri ab badalna hai yaro
tha main kya aur ab kya hue ja raha hun
aur kitne hi sanchon mein Dhalna hai yaro
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.