main dost se na kisi dushmani se Darta hun
maiñ dost se na kisī dushmanī se Dartā huuñ
bas is zabān kī be-pardagī se dabtā huuñ
maiñ duur duur se ḳhud ko uThā ke laatā rahā
ki TuuT jā.ūñ to phir duur tak bikhartā huuñ
ye sab ishāre mire kaam kyuuñ nahīñ aate
yaqīñ kī maañg ko rasm-e-gumāñ se bhartā huuñ
maiñ itnī duur nikal aayā shahr-e-hastī se
ḳhud apnī zaat se aksar lipaT ke rotā huuñ
abhī zamāna mire saath chalne vaalā hai
maiñ is ḳhayāl se jiitā huuñ aur na martā huuñ
zamāna DhūñD rahā hai mujhe makānoñ meñ
maiñ shahr-e-zāt ke andhe kueñ meñ rahtā huuñ
hamāre rāste jab se judā hue haiñ 'sa.īd'
maiñ apnī zaat ko mahsūs kar to saktā huuñ
main dost se na kisi dushmani se Darta hun
bas is zaban ki be-pardagi se dabta hun
main dur dur se KHud ko uTha ke lata raha
ki TuT jaun to phir dur tak bikharta hun
ye sab ishaare mere kaam kyun nahin aate
yaqin ki mang ko rasm-e-guman se bharta hun
main itni dur nikal aaya shahr-e-hasti se
KHud apni zat se aksar lipaT ke rota hun
abhi zamana mere sath chalne wala hai
main is KHayal se jita hun aur na marta hun
zamana DhunD raha hai mujhe makanon mein
main shahr-e-zat ke andhe kuen mein rahta hun
hamare raste jab se juda hue hain 'said'
main apni zat ko mahsus kar to sakta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.