main duniya ki KHatir hun dil hone wala
maiñ duniyā kī ḳhātir huuñ dil hone vaalā
mirā ahd hai mustaqil hone vaalā
ḳhudā aisā tanhā kisī ko na rakkhe
koī bhī na ho jab muḳhil hone vaalā
pas-e-āb-o-gil maiñ dikhā bhī chukā huuñ
tamāshā sar-e-āb-o-gil hone vaalā
safīne bhare aa rahe haiñ barābar
hai dariyā kahīñ muntaqil hone vaalā
vahī ek ham haiñ vahī ek tum ho
ye aalam nahīñ mo.atadil hone vaalā
lahū ke kināre bhī zad par haiñ donoñ
ye kyā zaḳhm hai mundamil hone vaalā
mirī raakh dekho to kyā mutma.in hai
maiñ ik shaḳhs thā mushta.il hone vaalā
main duniya ki KHatir hun dil hone wala
mera ahd hai mustaqil hone wala
KHuda aisa tanha kisi ko na rakkhe
koi bhi na ho jab muKHil hone wala
pas-e-ab-o-gil main dikha bhi chuka hun
tamasha sar-e-ab-o-gil hone wala
safine bhare aa rahe hain barabar
hai dariya kahin muntaqil hone wala
wahi ek hum hain wahi ek tum ho
ye aalam nahin moatadil hone wala
lahu ke kinare bhi zad par hain donon
ye kya zaKHm hai mundamil hone wala
meri rakh dekho to kya mutmain hai
main ek shaKHs tha mushtail hone wala
- Book : Shaam Ke Baad Kuch Nahin (Pg. 103)
- Author : Shaheen Abbas
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.