main dushmani hun mohabbat hun ajnabi hun main
maiñ dushmanī huuñ mohabbat huuñ ajnabī huuñ maiñ
yahī subūt haiñ mere ki aadmī huuñ maiñ
bujhā sakegā na mujh ko tamām āb-e-jahāñ
miyān-e-dasht bahattar kī tishnagī huuñ maiñ
mirā ḳhayāl mirī soch hai kitāb mirī
ḳhudā-e-fikr kā bhejā huā nabī huuñ maiñ
nigāh kī na ḳhilāf-e-sharī.at-e-adabī
kisī ke husn-e-ġhazal par ki muttaqī huuñ maiñ
mire ḳhayāl se raushan hai koh-e-tūr-e-adab
uḌeñ na hosh to dekho vo raushnī huuñ maiñ
mujhī se bolnā sīkhā hai gūñge harfoñ ne
maiñ rūh-e-nutq huuñ lafzoñ kī zindagī huuñ maiñ
luTā rahā hai mazāmīn-e-nau ke jo ambār
zamāna kahtā hai 'kāzim' vahī saḳhī huuñ maiñ
main dushmani hun mohabbat hun ajnabi hun main
yahi subut hain mere ki aadmi hun main
bujha sakega na mujh ko tamam aab-e-jahan
miyan-e-dasht bahattar ki tishnagi hun main
mera KHayal meri soch hai kitab meri
KHuda-e-fikr ka bheja hua nabi hun main
nigah ki na KHilaf-e-shariat-e-adabi
kisi ke husn-e-ghazal par ki muttaqi hun main
mere KHayal se raushan hai koh-e-tur-e-adab
uDen na hosh to dekho wo raushni hun main
mujhi se bolna sikha hai gunge harfon ne
main ruh-e-nutq hun lafzon ki zindagi hun main
luTa raha hai mazamin-e-nau ke jo ambar
zamana kahta hai 'kazim' wahi saKHi hun main
- Book : کتاب سنگ (Pg. 46)
- Author : کاظم جرولی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.