main ek akela hun lekin zalim ka zamana sathi hai
main ek akela hun lekin zalim ka zamana sathi hai
Inayatullah Khan Soz
MORE BYInayatullah Khan Soz
maiñ ek akelā huuñ lekin zālim kā zamāna sāthī hai
vo zulm kare maiñ zulm sahūñ ye rasm abhī tak baaqī hai
jab ḳhūn-e-jigar jam jaatā hai dāman pe añdheroñ ke jā kar
tab raat ke parde jalte haiñ tab jā ke sahar ho paatī hai
sāvan ho ki patjhaḌ ho yaaro kuchh farq nahīñ hai apne liye
har rut jo badal kar aatī hai vo ġham ke tahā.if laatī hai
duniyā meñ hameñ aksar yā-rab apnī ye hayāt-e-fānī hī
dozaḳh ke bhayānak manzar bhī lā lā ke yahāñ dikhlātī hai
vo khilte raheñ kaliyoñ kī tarah vo hañste raheñ phūloñ kī tarah
ai 'soz' hameñ jiine ke liye ye zaḳhm-e-jigar hī kaafī hai
main ek akela hun lekin zalim ka zamana sathi hai
wo zulm kare main zulm sahun ye rasm abhi tak baqi hai
jab KHun-e-jigar jam jata hai daman pe andheron ke ja kar
tab raat ke parde jalte hain tab ja ke sahar ho pati hai
sawan ho ki patjhaD ho yaro kuchh farq nahin hai apne liye
har rut jo badal kar aati hai wo gham ke tahaif lati hai
duniya mein hamein aksar ya-rab apni ye hayat-e-fani hi
dozaKH ke bhayanak manzar bhi la la ke yahan dikhlati hai
wo khilte rahen kaliyon ki tarah wo hanste rahen phulon ki tarah
ai 'soz' hamein jine ke liye ye zaKHm-e-jigar hi kafi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.