main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya
maiñ ek pal kī thā ḳhushbū kidhar nikal aayā
chalā maiñ mujh ko havā kā safar nikal aayā
na khīñchnī thī tumheñ sat.h-e-āb kī chādar
kabhī kā ghaat meñ baiThā bhañvar nikal aayā
barahnagī ko tamāshā bhī dardnāk milā
badan ke rañg jab utre khañDar nikal aayā
vo ek abr to bijlī se raat bhar laḌtā
havā ke miyān se ḳhanjar magar nikal aayā
sukūt-e-āb se Dar kar jo maarī chīḳh us ne
to ik kaTā huā dariyā se sar nikal aayā
shikast o reḳht ke hāthoñ ne kuchh diyā to sahī
girā makān to guḌiyā kā ghar nikal aayā
main ek pal ki tha KHushbu kidhar nikal aaya
chala main mujh ko hawa ka safar nikal aaya
na khinchni thi tumhein sath-e-ab ki chadar
kabhi ka ghat mein baiTha bhanwar nikal aaya
barahnagi ko tamasha bhi dardnak mila
badan ke rang jab utre khanDar nikal aaya
wo ek abr to bijli se raat bhar laDta
hawa ke miyan se KHanjar magar nikal aaya
sukut-e-ab se Dar kar jo mari chiKH us ne
to ek kaTa hua dariya se sar nikal aaya
shikast o reKHt ke hathon ne kuchh diya to sahi
gira makan to guDiya ka ghar nikal aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.