main ek raat mohabbat ke saeban mein tha
maiñ ek raat mohabbat ke sā.ebān meñ thā
mirā tamām badan ruuh kī kamān meñ thā
dhanak jalī thī fazā ḳhuun se munavvar thī
mire mizāj kā ik rañg āsmān meñ thā
jo sochtā huuñ use dil meñ phuul khilte haiñ
vo ḳhush-nigāh nahīñ thā to kaun dhyān meñ thā
ye hādsa hai ki donoñ ḳhizāñ-sarisht hue
magar bahār kā ik ahd darmiyān meñ thā
mujhe aziiz rahī dushmanī kī talḳhī bhī
is ek zahr se kyā zā.iqa zabān meñ thā
main ek raat mohabbat ke saeban mein tha
mera tamam badan ruh ki kaman mein tha
dhanak jali thi faza KHun se munawwar thi
mere mizaj ka ek rang aasman mein tha
jo sochta hun use dil mein phul khilte hain
wo KHush-nigah nahin tha to kaun dhyan mein tha
ye hadsa hai ki donon KHizan-sarisht hue
magar bahaar ka ek ahd darmiyan mein tha
mujhe aziz rahi dushmani ki talKHi bhi
is ek zahr se kya zaiqa zaban mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.