main ek sada lafz tha mansub us se kya hua
maiñ ek saada lafz thā mansūb us se kyā huā
us ne navāzā is tarah maiñ ho gayā huuñ qāfiya
duniyā hiqārat se jise be-faiz kahtī thī vahī
har-sū ujālā kar rahā hai raat se laḌ kar diyā
pahle nazar ke rāste dil meñ rahā hai kuchh dinoñ
vo ab ragoñ meñ aa gayā hai ishq us se yuuñ kiyā
kyā bīt.tī hai dil pe us ko ye ḳhabar hai hī nahīñ
kaise batā.ūñ maiñ use nīñdeñ uḌiiñ pāgal huā
masrūfiyat donoñ kī aisī mil nahīñ paate magar
vo har tarah se paas hai ik jism hī to hai judā
ik din ḳhudā se maañg lī ham ne zarā sī raushnī
us kī ināyat ye huī sūraj uThā kar de diyā
kyā kyā nazāre dekhtī hai aañkh merī rāt-din
āsāñ nahīñ thā jo kabhī par ishq meñ vo bhī huā
main ek sada lafz tha mansub us se kya hua
us ne nawaza is tarah main ho gaya hun qafiya
duniya hiqarat se jise be-faiz kahti thi wahi
har-su ujala kar raha hai raat se laD kar diya
pahle nazar ke raste dil mein raha hai kuchh dinon
wo ab ragon mein aa gaya hai ishq us se yun kiya
kya bitti hai dil pe us ko ye KHabar hai hi nahin
kaise bataun main use ninden uDin pagal hua
masrufiyat donon ki aisi mil nahin pate magar
wo har tarah se pas hai ek jism hi to hai juda
ek din KHuda se mang li hum ne zara si raushni
us ki inayat ye hui suraj uTha kar de diya
kya kya nazare dekhti hai aankh meri raat-din
aasan nahin tha jo kabhi par ishq mein wo bhi hua
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.