main gahri nind mein tha jab ki ye bheji gai duniya
maiñ gahrī niiñd meñ thā jab ki ye bhejī ga.ī duniyā
ab isti.māl karnī hai mujhe de dī ga.ī duniyā
ba-vaqt-e-sub.h lagtā thā ki kuchh-kuchh dastaras meñ hai
jo aa.ī shaam hāthoñ se mire le lī ga.ī duniyā
paḌī hai jā-ba-jā TuuTe hue shīshe ke TukḌoñ sī
kisī anjān khiḌkī se kabhī pheñkī ga.ī duniyā
mire dar par na.e din ko mahakte phuul kī sūrat
sahar jo rakh ga.ī thī shaam ko letī ga.ī duniyā
ye apnā desh hai aa jā.eñge vāpas yahīñ phir bhī
chalo DhūñDeñ use jo ḳhvāb meñ dekhī ga.ī duniyā
main gahri nind mein tha jab ki ye bheji gai duniya
ab istimal karni hai mujhe de di gai duniya
ba-waqt-e-subh lagta tha ki kuchh-kuchh dastaras mein hai
jo aai sham hathon se mere le li gai duniya
paDi hai ja-ba-ja TuTe hue shishe ke TukDon si
kisi anjaan khiDki se kabhi phenki gai duniya
mere dar par nae din ko mahakte phul ki surat
sahar jo rakh gai thi sham ko leti gai duniya
ye apna desh hai aa jaenge wapas yahin phir bhi
chalo DhunDen use jo KHwab mein dekhi gai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.