main ghazal ke lahje mein is tarah sunai dun
maiñ ġhazal ke lahje meñ is tarah sunā.ī duuñ
bhiiḌ meñ bhī niklūñ to munfarid dikhā.ī duuñ
maiñ ki lams jismoñ kā maiñ ki karb rūhoñ kā
duur tak nazar aa.uuñ der tak sunā.ī duuñ
kyoñ na is rivāyat ko toḌ kar guzar jā.ūñ
jism kī imārat se ruuh ko rihā.ī duuñ
ik zarā ġhazal kah kar is qadar ḳhushī pā.ūñ
tere naam ḳhat likhkhūñ aur tujhe badhā.ī duuñ
kitnā hī añdherā ho zindagī ke chehre par
tū mujhe nazar aa.e maiñ tujhe sujhā.ī duuñ
main ghazal ke lahje mein is tarah sunai dun
bhiD mein bhi niklun to munfarid dikhai dun
main ki lams jismon ka main ki karb ruhon ka
dur tak nazar aaun der tak sunai dun
kyon na is riwayat ko toD kar guzar jaun
jism ki imarat se ruh ko rihai dun
ek zara ghazal kah kar is qadar KHushi paun
tere nam KHat likhkhun aur tujhe badhai dun
kitna hi andhera ho zindagi ke chehre par
tu mujhe nazar aae main tujhe sujhai dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.