main gila kar raha hun qismat ka
maiñ gila kar rahā huuñ qismat kā
kaun mauqa hai ye shikāyat kā
thā asar dil meñ kuchh mohabbat kā
pūchhte the nishān turbat kā
'badr' vārafta ho ke hazrat kā
kis se hai idda.ā raqābat kā
Dar na thā dil meñ kuchh qayāmat kā
thā bharosā tirī shafā.at kā
jal uThā dil meñ daaġh hasrat kā
bujh gayā jab charāġh turbat kā
sun ke vaa.iz kī pī ga.e mai-kash
muqtazā thā yahī sharāfat kā
araq-ālūda ruḳh kā vasf likhā
itr khīñchā gul-e-latāfat kā
shab-e-furqat thī raat turbat kī
roz-e-furqat thā din qayāmat kā
nahīñ miltā adā-shanāsoñ ko
tolā māsha mizāj hazrat kā
zindagī kā bhī Thekā lete ho
va.ada karte to ho qayāmat kā
vaah re husn terī ra.anā.ī
rang badlā hayā-tabī.at kā
na to mai hai na jām-o-sāqī hai
rang phīkā hai aaj sohbat kā
shab-e-gesū se bhī darāz hai ye
tuul kyā kahiye roz-e-furqat kā
rattī sīm-e-qamar kī chamkī hai
auj dekho to ahl-e-daulat kā
past se past ziina hai kursī
aap ke bām-e-arsh-rif.at kā
kis ġhazab kī hai sāñvlī sūrat
shor aalam meñ hai malāhat kā
be-haqīqat ye ḳhaak kā putlā
ik namūna hai terī san.at kā
aaj kyā huuñ azal se parvāna
maiñ tirī sham.a-e-bazm-e-qurbat kā
dasht-e-ġhurbat meñ mere sar par thā
sā.ebāñ terī nīlgūñ chhat kā
'badr' tum bhī to ho banī hāshim
faḳhr bejā nahīñ siyādat kā
'badr'-e-marhūm ko ḳhudā baḳhshe
aadmī thā baḌī muravvat kā
main gila kar raha hun qismat ka
kaun mauqa hai ye shikayat ka
tha asar dil mein kuchh mohabbat ka
puchhte the nishan turbat ka
'badr' warafta ho ke hazrat ka
kis se hai iddaa raqabat ka
Dar na tha dil mein kuchh qayamat ka
tha bharosa teri shafaat ka
jal uTha dil mein dagh hasrat ka
bujh gaya jab charagh turbat ka
sun ke waiz ki pi gae mai-kash
muqtaza tha yahi sharafat ka
araq-aluda ruKH ka wasf likha
itr khincha gul-e-latafat ka
shab-e-furqat thi raat turbat ki
roz-e-furqat tha din qayamat ka
nahin milta ada-shanason ko
tola masha mizaj hazrat ka
zindagi ka bhi Theka lete ho
wada karte to ho qayamat ka
wah re husn teri ranai
rang badla haya-tabiat ka
na to mai hai na jam-o-saqi hai
rang phika hai aaj sohbat ka
shab-e-gesu se bhi daraaz hai ye
tul kya kahiye roz-e-furqat ka
ratti sim-e-qamar ki chamki hai
auj dekho to ahl-e-daulat ka
past se past zina hai kursi
aap ke baam-e-arsh-rifat ka
kis ghazab ki hai sanwli surat
shor aalam mein hai malahat ka
be-haqiqat ye KHak ka putla
ek namuna hai teri sanat ka
aaj kya hun azal se parwana
main teri shama-e-bazm-e-qurbat ka
dasht-e-ghurbat mein mere sar par tha
saeban teri nilgun chhat ka
'badr' tum bhi to ho bani hashim
faKHr beja nahin siyaadat ka
'badr'-e-marhum ko KHuda baKHshe
aadmi tha baDi murawwat ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.