main gir kar shaKH se uDne laga hun
maiñ gir kar shāḳh se uḌne lagā huuñ
achānak kitnā ūñchā ho gayā huuñ
sitam sah kar bhī chup rahne lagā huuñ
mujhe lagtā hai shāyad mar gayā huuñ
kahūñ kaise ki vo merā nahīñ hai
jise sau baar apnā kah chukā huuñ
mujhe shāyad ḳhudā kā Dar nahīñ hai
ḳhudī mahfūz rakhnā chāhtā huuñ
mire baare meñ vo kyā sochtā hai
yahī ik baat aksar sochtā huuñ
usūloñ kī 'imārat gir chukī hai
maiñ ḳhud apne hī malbe meñ dabā huuñ
mujhe 'fārūq' koī note kar le
ka.ī anjān galiyoñ kā patā huuñ
main gir kar shaKH se uDne laga hun
achanak kitna uncha ho gaya hun
sitam sah kar bhi chup rahne laga hun
mujhe lagta hai shayad mar gaya hun
kahun kaise ki wo mera nahin hai
jise sau bar apna kah chuka hun
mujhe shayad KHuda ka Dar nahin hai
KHudi mahfuz rakhna chahta hun
mere bare mein wo kya sochta hai
yahi ek baat aksar sochta hun
usulon ki 'imarat gir chuki hai
main KHud apne hi malbe mein daba hun
mujhe 'faruq' koi note kar le
kai anjaan galiyon ka pata hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.