main gunahgar agar hun to saza di jae
maiñ gunahgār agar huuñ to sazā dī jaa.e
varna logo mujhe phir dād-e-vafā dī jaa.e
tum mujhe chāhte ho chāhte ho to sāhib
kyoñ na ye baat zamāne ko batā dī jaa.e
ek chingārī badal de kahīñ jangal kā mizāj
is se pahle hī tah-e-ḳhāk dabā dī jaa.e
jo na rūThe use chhātī se lagānā behtar
rūThne vaale ko hañsne kī duā dī jaa.e
shaam dhuñdlā.ī huī aur bhayānak jangal
aise māhaul meñ ab kis ko sadā dī jaa.e
gar koī rasm burī hai to gavārā kyūñkar
har burī rasm zamāne se haTā dī jaa.e
main gunahgar agar hun to saza di jae
warna logo mujhe phir dad-e-wafa di jae
tum mujhe chahte ho chahte ho to sahib
kyon na ye baat zamane ko bata di jae
ek chingari badal de kahin jangal ka mizaj
is se pahle hi tah-e-KHak daba di jae
jo na ruThe use chhati se lagana behtar
ruThne wale ko hansne ki dua di jae
sham dhundlai hui aur bhayanak jangal
aise mahaul mein ab kis ko sada di jae
gar koi rasm buri hai to gawara kyunkar
har buri rasm zamane se haTa di jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.